Blogger: Apna Blog (Free Site) Bananey ka Asaan Tarika (Some Simple Steps) To make Your Own Blog
Blog ak aisi cheez hai jis per apna Data Upload kar sakte hain and es ke liye apko koi charges bhi nahe dene hote hain. Ye ak qisam ki website hai jis pe log visit kar k aap ka upload kiya hoa Data dekh sakte hain Share kar sakte hain. Blog ki example ye website hai jo aap es waqt visit kar rahe hain, Jee han www.ProValley.blogspot.com .
Agar aap ka Blog Popular ho jata hai jesa ke ProValley hai tu aap Google Adsense ko use kar ke Achi Khasi Raqam bhi Kama sakte hain. Jis tarha ke ye Blog kama raha hai.Es waqt world main boht c aisi Companies hain jo FREE main apko Blog banane ke liye Space deti hain jin main Blogger sub se Best hai. Aaj hum Blogger per apna Blog (Kind of free Website) banayen ge. So lets start the Process.
Agar aap ka Blog Popular ho jata hai jesa ke ProValley hai tu aap Google Adsense ko use kar ke Achi Khasi Raqam bhi Kama sakte hain. Jis tarha ke ye Blog kama raha hai.Es waqt world main boht c aisi Companies hain jo FREE main apko Blog banane ke liye Space deti hain jin main Blogger sub se Best hai. Aaj hum Blogger per apna Blog (Kind of free Website) banayen ge. So lets start the Process.
Step 1:
First of all aap www.Blogger.com ko Open karain. (Note: agar aap ke pass Smart Phone nahe hai tu aap es website ko Apne Computer per Open karain Because Java Mobiles per ye Proper work nahe kare gi.
Step 2:
Ab Blogger ki website ko Open karne ke Baad aap ko SIGN IN ya Sign UP karna hoga, Es ka matlb ye hai k apko apna Gmail ID and Password yahan per Enter karna hoga, agar aap ke Pass Gmail ID nahe hai tu aap Easily Sign Up (Create new Account) pe click kar k apna Naya Gmail ID bana sakte hain.
Step 3:
Sign in karne ke baad apke samne ak Screen aye gi Jis main aap "New Blog" ke Option per Click kar dain.
Step 4:
- "New Blog" option per Click karne ke Baad apke Samane ak Nayi screen aye gi, Es screen ke First Box main aap apne BLOG ka Title dain.
- Dosre Box main aap apni website ya Blog ka wo naam (URL) dain jis ko log visit kar sakain, For example www.SaraGossip.blogspot.com
Note: Aap apne Blog ka name (URL) aisi dain jo pehlay kisi ne use na kiya ho, and es URL ko hamisha yaad rakhain Because yehi apke Blog ka Address hai jis se aap apne Blog ko visit kar sako ge.
- Es ke baad aap nechay di gai Templates (Designs) main se kisi ak per click kar dain jo apko acha lagta ho.
Step 5:
Ye sub Kuch karne ke Baad aap Sub se nechay diye gaye Option "CREATE BLOG" Per click kar dain, Mubarak Ho Aap ka Blog (Website) ban gai hai.
Ab agar aap apne Blog per koi Cheez Upload karna chahte hain tu Blogger.com per ja kar "New Post" per click karain.
Agar blog Banany k doran koi bhi Problem ho tu aap apna problem es Post ke COMMENT BOX main likh sakte hain, Main ya koi aur Expert apke Problem ka solution de dain ge. Thanks for Reading...!
Creat Blog, Develop a blog, Free Website, How To, Make a blog, Make Blog, Site Develop, Website,
No comments
Post a Comment